Judaa hum ho gaye maana
Magar yeh jaan lo jaana…

Judaa hum ho gaye maana
Magar yeh jaan lo jaana

Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana

Tumhein main bhool jaunga
Yeh baatein dil mein na lana
Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana



Tha kaun mera, ek tu hi tha…
Saanson se zyada, jo zaruri tha…
Tere liye main, kuch nahi lekin…
Mere liye tu, mera sab kuch tha…

Nahi jaana bhula kar ke
Yeh baatein tum hi kehte the
Rahi khushiyan nahi meri
Ke tum bhi waqt jaise the

Tumhara tha rahega bhi
Karein kya dil hai deewana
Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana

Maine tumhari, baat maani hai…
Maine manaya, dil ko hai kaise…
Ab se raho tum, khush jahan bhi ho…
Mera tumhara, tha bhi kya vaise…

Bhale doori rahi jitni
Nigahon se nigahon ki
Magar khwaabon ki duniya mein
Milunga tumse rozana

Yahin tak tha safar apna
Tumhein hai laut kar jaana
Kabhi main yaad aaun toh
Chale aana, chale aana

Na-na na, na na na…
He he he…
Hmm…Oo…
Aa…aa…

  • Like
  • Love
  • HaHa
  • WoW
  • Sad
  • Angry